Mushkil main kaam aati hy Mushkil kusha a.s ki baat
KhyMber shikan ka tazkera Mushkil kusha a.s ki baat
razo-o-niyaz paish-a-hijab-a-kamaa’n thay kya
Mushkil kusha ka zikr tha Mushkil kusha ki baat
ik neend sy raza-a-Khuda le!! Khuda nay bhi
shab bhr parrha qaseeda ki Mushkil kusha ki baat
meyaar-a-haq-o-baatil-o-meezan-a-adal bhi
Mushkil kusha ka zikr ya Mushkil kusha ki baat
Tabraiz Shams , Shafaie , Shebaz or Baree
sab ka yay he vazeefa tha Mushkil kusha ki baat
ghabra na dil tu qabr main munkir nakeer sy
mushkil ggharri hy chairr dy Mushki kusha ki baat
mujh sy savaaly jaa’n na kia Izraieel ny
dil main Ali a.s tha lab py the Mushkil kusha ki baat
dunya bhi dee’n bhi haqq bhi Khuda bhi khudaai bhi
sab kuch milay ga kijiay to Mushkil kusha ki baat
virdy zabaa’n to Naady Ali a.s umr bher rahi
ya baat ki to baat main Mushkil kusha ki baat
laanat Khuda ki munkar-a-Haider !!! nahi kiiyaa
mushkil kusha ka zikr na Mushkil kusha ki baat
dushman tera halaak tha ger sir na taykta
kertay hi ban parri usy usy Mushkil kusha ki baat
merhab pukaara al-amaa’n anter laraz uttha
taigh-a-Ali sy jab suni Mushkil kusha ki baat
Musa savaal-a-noor !!! Khuda sy kia tha ku !!
Mushkil kusha sy maangtay Mushkil kusha ki baat
kis ism ki talaash main pphirta hy der bader
aazam bhi or azeem hay Mushkil kusha ki baat
tera januu abus hy tera ishq bay kamaal
dil sy agr na ker saky Mushkil kusha ki baat
tasbeeh meri darood mera or meri namaaz
mera Ali a.s hy ya meray Mushkil kusha ki baat
ku muztarib hy jan teri rooh bayqaraar
kaano sy dil ky sun kabhi Mushkil kusha ki baat
agha munaafiqqo main nahi chup saky ga tu
likkhi hy tery chehray pay Mushklil kusha ki baat
Meray moula mein likhon teri fazeelat kaisay
Bara mushkil teri midhat ka safar lagta hai
Loug keh dein na nuseri yehi dar lagta hai...
Meray moula mein likhon teri fazeelat kaisay
Teri chokhat pe sitaray ne salami di hai
Teray bachon ki farishtoun ne ghulami ki hai
Kull-e-eimaan hai Jibreel(as) ka ustaad hai tu
Hadd hai ko-nain ke sardar ka damaad hai tu
Ya Ali(as) teray ta'aruff mein koi kya bolay
Teri thokar ka ishara ho tu murda bolay
Meray moula mein likhon teri fazeelat kaisay
Aik hi waqt mein chalees jaga par moujood
Har nafas tujh mein jhalaktay hain sifat-e-Ma'bood
Chand, soraj bhi samajhtay hain ishara tera
Zindagi kya hai, ajal par bhi hai qabza tera
Ya Ali(as) deen-e-Peyambar(pbuh) ka nigehbaan hai tu
Jis pe Allah (swt) ka dhoka ho wo insaan hai tu
Meray moula mein likhon teri fazeelat kaisay
Putla Adam(as) ka banaya hai teray hathoon ne
Naksh-e-konain tarasha hai teray hathoon ne
Sochta houn ke nuseri ki khata hi kya hai
Jab ke Allah ka chehra bhi tera chehra hai
Khud diya Nehj-e-Balagha mein jo khutba tu ne
Uss se lagta hai banai hai ye duniya tu ne
Meray moula mein likhon teri fazeelat kaisay
Jannat-o-kausar-o-tasneem-o-iram teray hain
Hadd hai ye, dosh-e-Risalat pe qadam teray hain
Ilteja ye hai ke Hussnain(as) ka sadqa de de
Apnay maddahoon ko midhat ka saleeqa de de
Guftugu karnay k aadab sikha de moula
Meray har lafz ko nayab bana de moula
Meray moula mein likhon teri fazeelat kaisay
Bara mushkil teri midhat ka safar lagta hai
Loug keh dein na nuseri yehi dar lagta hai...
Meray moula mein likhon teri fazeelat kaisay