ASSALAAM WALEY KUM
YA ALI MADAD(A.S)
salam tujh pe ALI(a.s)-o-BATOOL(a.s) k pyaare
salam tujh pe KHUDA-o-RASOOL k pyaare
sulagti rait k teeron pe jo kia sajda
bacha gya hai shareeyat ko woh tera sajda
Us Sajday Ko Ho Mera Salam Ae Rasool(saww) k pyaray
sadma tera bauhat hai shah-e-mashraqain ko
pursa main de raha hoon IMAM-E-HUSSAIN(as) ko
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay
Jis dum kartay hain mawali aag per matam
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay
chera na kero Haiderii mustaanay ko
laoo na muqabil kisi deewanay ko
munkir ho tou Kaba ki fazeelat say phiroo
sajda na kero uskay zacha khanay ko
Nazar ka noor jisay dil ka chain kehtay haiN
Nabi bhi apni ibaadat ka zian kehtay haiN
Jo apni jaan gawaade hifaazat e haq maiN
Usay to dil ki lughat maiN Hussain kehtay haiN