Salamun Aleikum..
Taufah Yaa Ali Madad..
Bass Bibi razii hojayee...
Kia Moula Ali (as) jannat aur jahannum ko takseem karney wale hai ??
Beshak han..
In dis topic i"ll present both da reference of Shia nd Ahlul sunnat ulemas.
Es Thread mai hum Wahabiyoun k Es Aeteraaz ko Jis se wo humein Mushrik ka Ta'ana dete hai, Hum Un Hee Ki Kitaboun se apni baat ka esbaat kareinge..
Lehaaza Koi bhi Wahabi Kufr wa Shirk ka Fatwa Lagane se Pehle 100 Baar Sochega..
Bismillah hir rahmaan Nir raheem :--
Reference No 1 :--
Allama Ibne Hajjar Makki Jinhoun ne Shia Ta'asub mai Kitab Sawaiq ul Muharriqa likhi Hazrat Ali (as) k Fazail k Ziman mai Likhthe hai:
.
.
قال له رسول الله صلى الله عليه <وآله> وسلم : يا علي أنت قسيم الجنة والنار يوم القيامة
.
(Shura k Hawale Se Maula Ali (as) k Aik Kalaam ko Dar ul Qutni ne Reewayat Naqal kari) Rasool Allah (saww) ne farmaya k "Ya Ali! Aap Jannat aur Jahannum k Taqseem karne wale hai Qayamat k Din".
.
Source: Sawaiq ul Muharriqa, Pg no 77, Purani Chaap..
Reference No 2 :--
Allama Mutaqqi Hindi apni kitab mai Naqal karte hai:
.
36475- عن علي قال: أنا قسيم النار
.
.
Hazrat Ali (as) ne farmaya mai Jahannum k Taqseem Karne Wala houn.
.
Source: Kanzul Emaan, Huruf E Faa, Hadees no 36475.
Reference NO 3 :--
Allama Muhammad ibne Yusuf Al Kanji Al Sha'afi'i Naqal karte hai apni Sanad se
.
Hazrat Ali (as) ne farmaya mai Jahannum k Taqseem Karne Wala houn Qayamat k Din.
.
.
Yahee reewayat Hafidh Abul Qasim Al Damishqi ne apni Tareekh mai Naqal kari hai aur en k Elawa Dosre Ulma ne bhi es reewayat ko Rasool (saww) se Naqal keeya hai.
Ab Agur Koi Kahe k Es ki Sanad Zaeef hai to es ka jawaab ye hai k Muhammad ibne Mansoor Al Tusi ne kaha k Mai Ahmad ibne Hanbal k sath tha to aik Shaks ne Kaha k Abu Abdullah (Ahmad ibne Hanbal):
Aap es hadees k bare mai kya kehthe hai k Ali (as) Jahannum k Taqseem Karne Wale hai.
Ahmad ibne Hanbal ne jawaab deeya es mai aise kya cheez hai Jis ki Wajah se tum es hadees ka Inkaar kar rahe ho. Kya tum ne ye hadees nahee Dhekhi Jis Mai Rasool Allah (saww) ne farmaya
.
"Ae Ali! Aap se Koi Muhabbat nahee karega magar Momin aur koi Bugh nahee karega magar Munafiq."
.
Os Shaks ne Jawab Deeya "Beshak"
.
Ahmad ibne Hanbal ne kaha to batao k Momin Kaha jaienge?
.
Os Shaks ne Kaha Jannat mai.
.
Ahmad ibne Hanbal ne kaha aur batao k MUnafiq kaha jaienge?
.
Os Shaks ne kaha Jahannum mai
.
Ahmad ibne Hanbal ne kaha jab hee Ali (as) Jahannum k Taqseem karne wale hai.
.
Source: Kifayat ul Talib Fi Manaqib e Ali ibne Abi Talib (as), Pg no 71-72.
Reference No 4 :--
Ahle Sunnat k Buzurg Aalim e Deen Ibne Abi Ya'ala Naqal karte hai:
.
.
Muhammad ibne Mansoor Al Tusi ne kaha k Mai Ahmad ibne Hanbal k sath tha to aik Shaks ne Kaha k Abu Abdullah (Ahmad ibne Hanbal):
Aap es hadees k bare mai kya kehthe hai k Ali (as) Jahannum k Taqseem Karne Wale hai.
Ahmad ibne Hanbal ne jawaab deeya es mai aise kya cheez hai Jis ki Wajah se tum es hadees ka Inkaar kar rahe ho. Kya tum ne ye hadees nahee Dhekhi Jis Mai Rasool Allah (saww) ne farmaya
.
"Ae Ali! Aap se Koi Muhabbat nahee karega magar Momin aur koi Bugh nahee karega magar Munafiq."
.
Os Shaks ne Jawab Deeya "Beshak"
.
Ahmad ibne Hanbal ne kaha to batao k Momin Kaha jaienge?
.
Os Shaks ne Kaha Jannat mai.
.
Ahmad ibne Hanbal ne kaha aur batao k MUnafiq kaha jaienge?
.
Os Shaks ne kaha Jahannum mai
.
Ahmad ibne Hanbal ne kaha jab hee Ali (as) Jahannum k Taqseem karne wale hai.
.
Source: Tabqaat ul Hanabila by Ibne Abi Ya'ala, Vol no 2, Pg no 358, No 448, Published by Maktab ul Arabia Al Saudia, 1419 Hijri Edition.
Reference No 5 :--
Ahle Sunnat k Bare Buzurq Aalim e Deen, Allama Qazi Ayaz apni Kitab mai Likhthe hai Jis se Wahabiyoun ka Diwala Nikal Jaiega Inshallah..
.
Qazi Ayyaz farmate hai:
.
قتل علي، وأنّ أشقاها الذي يخضب هذه من هذه، أي لحيته من رأسه، وأنّه قسيم النّار; يدخل أولياءه الجنّة وأعدائه النار
.
(Hazrat Muhammad (Saww) ki Ghaib ki Khabrein Maloom hone ki Daleel k Taur par farmate hai ) Hazrat Ali ki Shahadat ki aur ye k Ummat ka Bad Bakht taren Un k Sar k Khoon se Raish ko Rangega aur ye k Ali Jahannum k Taqseem karne wale hai, apne Dostoun ko Bahisht mai aur apne Dushmanoun ko Jahannum mai Dakhil Farmaienge.
.
Source: Al Shifa Bil Ta'areef e Huqooq ul Mustafa, Pg no 338, Published by Dar ul Kutub Elmiya, Beirut, Lebanon.
I hav taken dis knwledge frm my Bro Haqq Mil Gaya (dunno his name) nd plss Do pray 4 his success nd Pray thet Allah tala increases his knwledge wth better understandin.
Oh Allah accept all ur prayers nd answer all ur prayer.
Plss do pray fr re-appearance of Imam e zamana (atfs) nd do pray fr my success.
Allah nigahbaan
Al- ajal Al-ajal Yaa Imam e zamana (atfs)
Bass Bibi Razi hojayee.