amaday imam zamana<atfs> bahot bahot mubarak hoo...
Zulm se tarr hui duniya aa jaaiye
Ban ke rehmat zamaane pe chhaa jaaiye
Aap hain waaris-e-rehmat-e-do jahaan
Ya Imam-e-Zamaan, ya Imam-e-Zamaan!
AL AJAL YA IMAM
Salam janab hassan askari sahab,
mujhey
kushi hogi agar aap se mein yeh maloom kar sakoon ke jazairi sahab ka
aap ko jawab kya tha. Umeed ke aap mujhey zaroor bataingey. Kal 15
Shaban hai mein aap ko Zahoor-e-Aethullah ul Uzmah, roohullah,
amreullah, Qudrathullah wa Hujjathullah (ajtfj) ki mubarek baad deta
hoon
1> imam.sadiq<as>....jo wajib ya
sunnat namaz me sure aala padhe qayamat k din ose kaha jayega k jannat
k jis darwaze se chahe dakhil ho jay.
2> rasul<as>...jab koe chiz bhool jao to mujhper salawat bhejo k os chiz ke yad aane ka sabab hai inshallah.
3> imam ali<as> gunaho ko khatm karne k liye salawat bhej na goya pani ke zariye aag ko bujane se zyada behtar hai.
4> imam baqir<as>...jo makkah me pura quran khatm kare wo tabtak nahi marega jab tak rasul<as> ko na dekhle.
5> imam sadiq<as>....allah<swt> os shaks ko maaf kar deta hai jo har
namaz k baad apni jagah se othne se pahle tasbih-e-zehra<sa> padhe.
1> rasul<sws> maa aur baap ki taraf mohabbat se dekh na wale ko har negah pe 1 haj ka sawab hai.
2> imam sadiq<as>..ek momin ki madad karna masjid ul haram<kaaba> me ek mahina roza rakhna aur aetekaaf karne se afzal hai.
3> rasul<sws>..jo ek bar mujh pe salwat bhejta hai to 2 farishte jo unke sath hote hai 3 din tak koi gunah nahi likhte.
4> imam sadiq<as> jo sure naba <surah num.78> ki rozana tilawat kare to vo osi saal masjidul haram <kaaba> ki ziarat karega.
5> imam ali<as> teri umr jo guzar chuki wo palat kar nahi aa sakti aur
aane wali umr ki sirf umeed hai.lihaza aaj amal ka waqt hai.
1> imam sajjad <as> by allah, mere nazdik momin ki hajat pori karna
behtar hai 2 mahine lagatar roza rakna jabke wo 2 paak mahine ehtekaf
me guzare.
2> rasool <sws>...jo bhi juma k din 100 martaba salwat padhe allah uske
80 sal ke gunah maaf karega . is din salwat se afzal koi kam nahi.
3> rasool <sws>...wajib amaail ada karne k baad sabse behtareen amal jo
banda allah k liye karta hai k woh logo k sath acha sulook kare.
4> imam baqir <as>...qayamat k din sabse bhari aamal mizan par muhammad <sws> and aal-e-muhammad pe salwat hogi.
5> rasool<sws>..apne deeni bhai ke sath sabse badi khayanat osse jhoot bolna hai jab ki who tumhe saccha manta ho
AS SALAM ALAIKUMHASSAN BHAI
AMADAY IMAM HUSSAIN<AS> MUBARAK TO U AND UR FAMILY..
GOD BLESS U
Den-e-Nabi ko Goud main pala Hussain(A.S) ne,
Thokar lagi to isko sambhala Hussain(A.S) ne,
Islam tere dil me jo chubta tha bar bar,
Kanta tha aik Yazeed nikala Hussain (A.S) ne.
KHUDA HAFIZ