Jiski Wafa ki sare jahan mein pukaar hai
us sher ki ye mash-o-alam yaadgaar hai
jo tashnalab shaheed hua aah neher per
kanze mein jis asad ke abhi tak kachar hai !!!
mujhe ye Dar hai aqeeday juda na ho jayeN,
khataeN ahle khata ki siwa na ho jaeN,
kaho na HAZRATE ABBAS ko ali jaisa,
nussairiyoN ke kahiN do khuda na ho jayeN.
apni qismat ban gai ghazi ka panja dekh kar,
aisa lagta hai ke qirtas-o-qalam mimbar pe hai,
isse zyada aur kya ooNchai ho ABBAS ki,
panjetan farshe aza par hain alam mimbar pe hai.