HAZRAT E MUKHTAR
#1 July 25, 3:49 pm
HAZRAT E MUKHTAR

Main hoon mukhtaar zamanaay se alag mera mizaaj,
Ulfat e aal e payambar ka meray sar pe hai taj,
Mai sharafat ka bharoosa to taharaath ki bhe laaj,
Apna thoda sa taruuf mai karoon tumeh aaj,
Zehn e bedaar mai yaad e azalee rehtee hai,
Mere hothoon pe sada nad-e-ali rehtee haii,

Dekhtee hai mujhay ulfaat se duwa-e-abbas,
Mere hothoon per sada hai sanaae abbas,
Jantaa hoon mujhay hasil hai raza e abbas,
Hematain deta hai mujh ko bhi khuda-e-abbas,
Mujh sa es saray zamanaay mai koi shair nehe,
Mai hoon mukhtaar mere naam mai bhe zair nehe

Ek din gaud mai hyder ne uthayaa tha mujhay,
Pyar kar kar ke kalejaay se lagayaa tha mujhay,
Waqeyaa karbobala ka bhi sunayaa tha mujhaay,
Maqsad e zeesat mera kya hai batayaa tha mujhay,
Maqsad e zeest mera yeh hai ke batil na rahaay,
Zinda aulaad e ali ka koi qatil na rahaay,

Jo tamana e hussain ibn-e-ali usnay kaha,
Jiski agoosh mai tahzeeb palee usnay kaha,
Jisko khaleeq se emamaat hai mili usnay kaha,
Jiske dada bhe ali khud bhe ali usnay kaha,
Mere hothoon ke tabasum ko jelaa de mukhtar,
Hurmulaa ka mujhay sar kat ke la day mukhtar,

Haan taharaath he taharaath ke taranuum ke liye,
Ilm e kamil ke liye ilm ke khulzumm ke liye,
Aur quraan e imamaat ke takluum ke liye,
Lab e sajjad per halkaay se tabasuum ke liyee,
Asmanoo ki tanaboo ko hellaa saktaa hoon,
Hurmulaa kya hai zamanaay ko mitaa sakta hoon,

Qatal jab karliya zaliim ko to mukhtar chalaa,
Muskurataa huvaa sarwar ka wafadaar chalaa,
Shor uthaa ke ghulam-e-shah e abrar chalaa,
Sar liyee haath mai sedaah suvay bimaar chala,
Bolaay sajjad rasooloo ne balain lee hai,
Tujh ko maa fatima zehra ne duwaaay de haii,

Ayath e hasnain lagain sura e rehmaan khilaa,
Dekh kar sura e rehmaan ko quraan khelaa,
Ek khamosh se tahreer ka unwan khilaa,
Haan kuch es shaan se paikar e emaan khelaa,
Dekhne ke liyee zainab bhi chalee ayee haii,
Aaj sajjad ke hothon per hansi ayee haiii,

Haq ki bataoo ke parstaar ke chahraay ka jalal,
Nuqta e bai ke tarafdaar ke chahraay ka jalal,
Shair-e-hyder ke wafadaar ke chahraay ka jalal,
Aur dekh kar hazrat e mukhtaar ke chahraay ka jalal,
Ek se dusraa kehta tha ke shamaat ayee,
Bhagoo mukhtaar ke surat mai qayamaat ayee,

Bolaay mukhtaar esiki hai zaroorat bhagoo,
Bhagoo bhagoo tumhay daita hoon ijazaat bhagoo,
Yeh tumehraay he buzrgoo ki hai siraat bhagoo,
To chahaay es rooz se tum tabaa qayamaat bhagoo,
Jis per likhee hai qazaa sab ki wooh kirtaas hoon maii,
Baach ke jaoogay kahan khadeemay abbas hoon maii,

Ayee shair yeh bhi to likh saray vazeeroo se kaha,
Khaas andaaz mai makhsuus safeero se kaha,
Dekh kar neza o shameer ko teeroo se kaha,
Badkaay mukhtaar ne yeh apnaay musheero se kahaa,
Uskoo jeenay ka nahi haq jo wafadaar nahi,
qatal kardoo usaay jo shah ka azaadaar nahi,

Ali ka hoslaa ahmed ka aitebaar liye,
Sitaam ke jism ko bejaan karnay ayee hoon,
Yazid-e-waqt khabar hai tujhay tere ghar mai,
Mai apni fathaa ka ailaan karnaay ayee hoon.

Sajaa ke hothoon per hyder ka naam zainab ne,
Setaam ka kardiyaa qisaa tamam zainab ne,
Laboo ko chumnaay quraan ki ayathaay ayee
Kiya jo tarzaay ali mai kalam zainab ne

Saveraa hoo nahi saktaa sitam ki bastee mai,
Likhee hai uskii muqadaar mai shaam zainab ne..
Yazid walaa bhe kehtaa nahi yazidii hoon,
Kuch es teraah se leeya inteqaam zainab ne,

Jahan per hazrat e ayub bhi nahi pohchaay
Kiya hai usaay bhi aggay qayaam zainab ne,
qasam hussain ki pal bhar mai dast e haibaath se,
Ullat ke rakhdiyaa darbaraay shaam zainab ne,
Usee ke ghar mai bapaa kar ke matam-e-shabbir,
Kiya yazid ka jeena haram zainab ne,

Khoon e rag e hayath bahayaa na jaegaa,
Tum se mere hussain pe royaa na jaegaaa,
Eske liyee lahoo ki taharath ki sharth hai,
Nara ali ka sab se lagayaa na jaegaa…..

Yeh Mustafa ki bazaam hai malun ke sevaa,
Es bazam se kisi ko bhagaaya na jaegaa,
Hai tere puraay jism me khoon e yazidiath,
Parchaam jaree ka tujeh se uthayaa na jaeegaa,
Sar per hai mere hzrathay abbas ka allam,
Doozag me mai to kya mera sayya na jaeega….

 

ILTEMAS E DUA

(K MENY LOGO KA BOHOT DIL DUKHAYA HY WO MUJHY MAAF KARDY) 

All times are GMT. The time now is 2:44 pm.