Man Matha Ala Hubbey wa Ala Bughzey aal-e-Mohammed
#1 September 24, 12:20 pm
Man Matha Ala Hubbey wa Ala Bughzey aal-e-Mohammed

Man Matha Ala Hubbey aal-e-Mohammed (a.s.)

Qaula Rasoolallah (saws), (Translitration) Man Matha ala hubb-e-aal-e-mohammed (a.s) Maatha Shaheeda(Urdu) Jo mohabbath-e-Aal-e-Mohammed (a.s.) per marega wo shaheed marega.

Quala Rasoolallah (saws) (Translitration) Ala wa man maatha ala hubb-e-aal-e-mohammed (a.s) matha thayeba.  (Urdu) Jo mohabbet-e-aal-e-mohammed (a.s) per merega wo "thouba" wa "Maqferath" ke saath merega.

Quala Rasoolallah (saws) (Translitration) Ala wa man matha ala hubb-e-aal-e-mohammedin (a.s.)  momina mustakamil alalimaan  (urdu) Jo mohabbath-e-aal-e-mohammed (a.s) per marega wo momin aur Iman-e-kamil ke saath marega.

Quala Rasoolallah (saws) (Translitration) Ala wa man maatha ala hubb-e-aal-e-mohammedin (a.s.)  malakal mouthey bil jannathey  sum munkira wa nakira (urdu) Jo mohabbath-e-mohammed (a.s.)  aal-e-mohammed per marega usey malakul mouth jannath ki basharath dengey phir munkir wa nakir isko basharath dengey.

Quala Rasoolallah (saws) (Transliteration) Ala wa man  matha ala hubb-e-aal-e-mohammadin (a.s.)  ilal jannati kama tazfathul urooso ila baithey zoujeha (urdu)  Jo mohabbath-e-aal-e-mohammed (a.s.)  marega usey ehteraam ke saath is tarha jannath mein laya jaiga jis tarha dulhan ko shouher ke ghar latey hain.

Quala Rasoolallah (saws) (Translitration) Ala wa man matha ala hubb-e-aal-e-mohammadin (a.s.)  ja'alallah khabrahu mazara malaikatir raqmati  (urdu) Jo mohabbath-e-aal-e-mohammed (a.s.)  per marega quda wanda aalam is ki khabre ko farishton ki ziyarathgah kharar dega.

Quala Rasoolallah (saws) (Translitration) Ala wa man matha ala hubb-e-aal-e-mohammadin (a.s.) Fataha lah fih qabr-e-baabni ilal jannatin  (Urdu) Jo koi mohabbat-e-Aal-e-mohammed per marega uski khabre mein jannath ki taraf 2 darwazey khol diye jaingey

Man Matha Ala Bughs-aal-e-Mohammed (a.s.) 

Quala Rasoolallah (saws) (Translitration) Ala wa man matha ala "Bughz-e-aal-e-mohammedin (a.s.)  kafira  (urdu)  Jo bughz-e-aal-e-mohammed (a.s.)  marega wo kafir ki mouth marega.

Quala Rasoolallah (saws) (Translitration) Ala wa man maatha ala bughz-e-aal-e-mohammedin lam yeshum rahatuljannatey  (Urdu) Jo bughz-e-aal-e-mohammed (a.s) per marega wo jannath ki boo nahi sungh sakta.

Mohabbath aur adavath ka izhaar kis sabab hoga?  Kitaab Asaar-e-hyderi (urdu tarjuma arabi tafseer per "tafseer-e-askari (a.s)" se Mutarjim Janab Mouvi syed Shareef Hussain sahab Bharelvi. mein Safa No.44 per "Biradaraan-e-Imani ke huqooq ke muthaliq likhtey huwey Masumen (a.s) se rivayeth kartey huwey mohabbath aur adavath ki thashree ki hai.  Jahan likhtey hain ke mohabbath aur adavath sirf isi gharz se honi chahiye ke wo allah/rasoolallah (saws)/Ahl-e-baith(a.s) se mohabbath rakhta hai ya adavath rakhta hai.  Aur yeh baath yahan wazeh karna chahunga ke Mohabbath ka thaqaza "Shafaqath" hai to adavath ka thaqaza "Zulm" hai. Aur Zalim ki thashree yun hai ke "Kisi shey ka apney moqam se hata dena zulm hai, aur kisi nahel ko ahel ke muqam per tasleem karna zulm hai"  Ab kam se kam wo hazraath jo kalmey mein hi sahi "Aliyan waliullah wasihe rasoolallah wa qalifatha hu bilafasle kehtey hain" unkey nazdeek Moula Ali (a.s) Baad-e-rasoolallah (saws) bilafasle khalifa hain.  Aur agar yeh baath tasleem kar ligayi hai to ab har wo shaks jo inhey bilafasle khalifa na maney wo Moula Ali (a.s) per Zulm karta hai, is sabab ke ahle ke muqam per kisi nahel ko tasleem kiya chahey wo Inhazraath(a.s) se pehley kisi ko tasleem karey ya inkey muqabley mein kisi ko tasleem karey ya inhazraath (a.s) ke ghaibath mein kisi ko tasleem karey.  Wo Zalim hai, aur zulm izhaar-e-adavath hai, aur adavath ya Bughz jo koi bhi  inhazraath (a.s) se rakhey wo kafir hai aur us se jo koi dosti rakhey wo bhi in hazraath (a.s) ka dushman hi hoga. Ab dekhengey ke mohabbath ka kya taqaza hai?  Rasoolallah (saws) se jab ahl-e-arab yeh shikva kiye ke aap apni har baath ka rukh ali ibn-e-abi talib (a.s) ki tharaf mod detey hain aur phir unkey shia ka zikre bhi kartey hain, akhir aap ka yeh amal kis sabab hai?  tab Sarkar (saws) ne kaha ke haan mujhey Ali (a.s)  aur is ke shia bahot pasand hai.  Tab unlogon ne pucha ke ali (a.s) to aapkey ibn-e-amm (chachazaad bhai hain) laikin unkey shia ko aap kis sabab pasand kartey hain? Kaha ke wo hamey bahot chahatey hain, aur mein unhey bahot chahata hoon.  Is per phir unlogon ne kaha ke kya hum aap ko nahi chahatey?  kaha nahi,  jaisa wo humey chahatey hain waisa tumlog nahi chahatey.  To phir unlogon ne poocha ya rasoolalah wo kis tarha aaplogon ko chahatey hain?  to kaha ke jab hum kush hotey hain to wo bhi kush hojatey hain aur jab humper koi musibath ati hai to wo hamarey gham me ghamzada ho jatey hain.  To pata chala ke masoom ke nazdeek mohabbath ka kulliya yeh hai ke "kushi mein kush hojana aur gham mein ghamzada hojana".  To ab al muqtaser yeh ke "Jo inhazraath(a.s) ki kushi mein kush hojaye aur gham mein ghamzada hojaye jo inkey chahaney walon ko pasand karey mohabbath karey aur jo aimma (a.s) ke muqabil mein kis ko tarjee deytey hon (chahey wo koi bhi ho) unhey na pasand karey aur unsey barath karey yehi wo log hai jin ki mouth Shaheed ki mouth hai, jo Maqfoor marta hai, Jo mukammil iman wala marta hai, jis ki khabre farishton ki ziyarathgah kharar dijati hai, jis ki khabre mein 2 darvazey jannath ke khol diye jatey hain, aur jisey farishtey dulhan ki tarha saja kar lejatey hain.  Alhamdolillah mein ne kabhi bhi kisi ghair-e-masoom ki wilayeth nahi ki, nahi kisi ghair ko masumeen (a.s) ke alqaab se khitab kiya aur na tasleem kiya. 

#2 September 24, 10:32 pm
Mashallah bhai bhoot khoob

Moula Salamat Rakey aap ko aur Moula Charda Masoomen (as) se duwa hai key huwamara khatema emaan pe ho aur Hum ko hube Ahle Mohammed par baqi raak Aur kahatema emaan pe hoye, aur jab waqt e Akir ayea tou Deedar Rab hojaey Aur Jab Humara dedar hota rahey tou woh hum ko dekh kar muskareya aur hum unko dek kar.
ELAHIYAMEEEEEN.

Moula waris
#3 September 25, 5:14 pm
masha allah bht khoob .mola aap ko sada haq ki aawaz buland krny ki toufeeq atta kry.aor hum sb ko moal ki wilayat aor hussain ki aza pe qaaim rakhy.illahi aameeeeeeennnnnnnn.goe wilayate ali(a.s) k sath .
All times are GMT. The time now is 11:57 am.