"la ilaha illallah" arabi adab aur arabi qaidey se
#1
May 23, 10:28 am
"la ilaha illallah" arabi adab aur arabi qaidey se
Kisi bhi zaban ke jumley ko usi zaban ke qaidey aur adab (grammer) se samajhna zaroori hota hai.  Aur to aur us zaban ke kahavathon ko bhi zair-e-ghour rakhna padta hai.  Agar aisa na ho to kya hota hai pehley is per nazar karengey.  Maslan urdu mein eik kahavath hai ke "mera dil bagh bagh hogaya" agar aap is ka tarjuma engrezi mein karengey to wo hoga "my heart become garden garden" aur is ka koi matlab hi nahi hoga.  To pata chala ke lafz ba lafz tarjuma bhi ghalath hota hai, ab hum dekhengey ke agar adab (grammer) ka lehaz kiye bagair tarjuma kiya gaya to kya hota hai? sura-e-al-maarij (chapter-70) ki 33vi ayeth mein allah kehraha hai ![[70:33]](http://globalquran.com/images/surah/70/70_33.png)
[70:33]Â Velleziyne hum biÅŸehadatihim kaimune. Yahan eik baath kehtey huwey aagey badna chahunga wo yeh ke, arabi grammer mein eik gavahi ko "shahadeth" kehtey hain, do gavahiyon ko "shahadetain" kehtey hain aur do se zyada gavahiyon ko "shahadaath" kehtey hain. aur jo segha allah ne is ayeth mein istemaal kiya hai wo jama ka segha hai yaney "wo log jo do se zyada gavahiyon per qaim hain" yeh tarjuma hoga iska laikin aksar-o-peshtar jo tarjuma iska milta hai wo yeh ke "jo gavahiyon per qaim hain" aur urdu mein ya phir kis bhi zaban mein 2 ko jama ka segha istemaal kiya jatha hai lehaza wo log jo masumeen (a.s.) se quran ke mainey nahi liye wo to aaj tak bhi yahan gavahiyon ko 2 gavahiya hi samajhtey hain aur unka kalma, azaan, aqama aur thashahood bhi inhi do ( 2 ) gavahiyon per musthamil hai. Â Agar samajhney wala arabi ke grammer se samjha hota to usey pata chalta ke allah kitney gavahiyon per qayem rehney ko kehraha hai? Â Ghaleban yahan yeh baath to waazeh ho chuki hogi ke kisi bhi zaban mein kahi huwi baath ko usi zaban ke qaidey se hi samajna chahiye.
Ab hum chaltey hain "la ilaha ilallah" ki tharaf to pehley hamein yeh dekhna zaroori hoga ke "la" kisey kehtey hain aur iskey kya maney hain. Â Zaban-e-arabi mein nafi / inkaar (refuse) ke liye jo alfaaz kahey jatey hain wo do hain eik to "la" hai aur dusra "lam" . Â "la" ko nafi kaha jatha hai aur "lam" ko nafi-e-taam kaha jaatha hai yaaney "hargiz hargiz nahi". Â Chaliye dekhengey ke nafi aur nafi-e-taam mein kya farq hai? maslan mein agar aap se eik rupiya poocha aur aap ke paas eik rupiya hai to sahi laikin mujhey deney ke liye nahi hai, ya phir aap ke apney masaraf ke liye hai to aisi surath mein aap nafi karengey yaney "la" kahengey to pata chala ke hai laikin mere liye nahi. Â Aur agar aap ke paas hai hi nahi na mujhey deney ke liye aur na hi qud apney masaraf ke liye to aisi surath mein aap nafi-e-taam ka istemaal karengey aur kagengey ke "lam" Â yaney hargiz hargiz nahi na mujhey deney ke liye aur nahi apney qud ke liye. Â Jaisa ke Quran mein allah ne sura-e-hamd mein kaha hai ke "lam yalid wa lam yulad" hargiz hargiz wo kisi ki aulaad nahi aur nahi ussey koi aulad hai. Â aur "la" wala segha jahan aya hai usey dekhengey. Â "la fatha illa ali la saif illa zulfeqaar" Â to yahan per sirf nafi wala segha aya hai yaney gunjayesh ke saath. Â Jaisa fateh ali hai waisa koi fateh nahi aur jaisi tavaar zulfeqaar hai waisi koi talvaar nahi. Â agar yeh na hokey is ka tarjuma is tarha kiya jaye ke koi fateh nahi siva-e-ali ke aur koi talvaar nahi siva-e-zulfeqaar ke to us surath mein sonchna padega ke ab talvaar jaisi kisi shey ko agar hum talvaar kehtey hain zulfeqaar ke alava to yeh allah ke hukum ke khelaaf hoga. Â Aur aisi surath mein Imam-e-Hussain (a.s.) jo ke fathey karbala hain unhey fateh nahi keh saktey kyunkey aap ne to yeh tarjuma kar liya ke koi fateh nahi siva-e-ali ke. Â Aur dekhney mein aatha hai ke hum zulfeqaar se hat kar bhi talvar ko talvaar kehtey hain aur Moula Ali (a.s.) ke alava bhi masumeen (a.s.) ko aur shohda-e-karbala ko fateh kehtey hain. Â Han agar yeh hadees-e-qudsi is tarha hoti "lam fatey illa ali lam saif illa zulfeqaar" to aap Moula ali (a.s.) se hat kar kisi ko bhi na fateh keh saktey they aur na hi kisi bhi talvaar ko talvaar keh saktey they zulfeqaar se hatkar. Â Ab agar yeh baath wazeh ho chuki hai to bara-e-meherbani in 2 kamlaath ka tarjuma likhkar meri madad kijiye:
"la ilaha ilallah" = ?
(mazallah) "lam ilaha ilallah" = ?Â
#2
May 24, 7:04 am
Really a very very appreciable work by the writer speciallay highlighting the aspects with which total meanings will be changed. Â But here i ask the writer if it is so then why even our own tranlators did not clearly mentioned? Â May allah rewards you and guide we all to the right path.
#6
October 5, 4:19 am
Assalam o Alikum Ya Ali Wali Allah Madad
aga jee aap k artical k end waly part ka mein jawab deyna chah raha hon
aap ny yeah likha
aga jee aap k artical k end waly part ka mein jawab deyna chah raha hon
aap ny yeah likha
Ab hum chaltey hain "la ilaha ilallah" ki tharaf to pehley hamein yeh dekhna zaroori hoga ke "la" kisey kehtey hain aur iskey kya maney hain. Zaban-e-arabi mein nafi / inkaar (refuse) ke liye jo alfaaz kahey jatey hain wo do hain eik to "la" hai aur dusra "lam" . "la" ko nafi kaha jatha hai aur "lam" ko nafi-e-taam kaha jaatha hai yaaney "hargiz hargiz nahi". Chaliye dekhengey ke nafi aur nafi-e-taam mein kya farq hai? maslan mein agar aap se eik rupiya poocha aur aap ke paas eik rupiya hai to sahi laikin mujhey deney ke liye nahi hai, ya phir aap ke apney masaraf ke liye hai to aisi surath mein aap nafi karengey yaney "la" kahengey to pata chala ke hai laikin mere liye nahi. Aur agar aap ke paas hai hi nahi na mujhey deney ke liye aur na hi qud apney masaraf ke liye to aisi surath mein aap nafi-e-taam ka istemaal karengey aur kagengey ke "lam" yaney hargiz hargiz nahi na mujhey deney ke liye aur nahi apney qud ke liye. Jaisa ke Quran mein allah ne sura-e-hamd mein kaha hai ke "lam yalid wa lam yulad" hargiz hargiz wo kisi ki aulaad nahi aur nahi ussey koi aulad hai. aur "la" wala segha jahan aya hai usey dekhengey. "la fatha illa ali la saif illa zulfeqaar" to yahan per sirf nafi wala segha aya hai yaney gunjayesh ke saath. Jaisa fateh ali hai waisa koi fateh nahi aur jaisi tavaar zulfeqaar hai waisi koi talvaar nahi. agar yeh na hokey is ka tarjuma is tarha kiya jaye ke koi fateh nahi siva-e-ali ke aur koi talvaar nahi siva-e-zulfeqaar ke to us surath mein sonchna padega ke ab talvaar jaisi kisi shey ko agar hum talvaar kehtey hain zulfeqaar ke alava to yeh allah ke hukum ke khelaaf hoga. Aur aisi surath mein Imam-e-Hussain (a.s.) jo ke fathey karbala hain unhey fateh nahi keh saktey kyunkey aap ne to yeh tarjuma kar liya ke koi fateh nahi siva-e-ali ke. Aur dekhney mein aatha hai ke hum zulfeqaar se hat kar bhi talvar ko talvaar kehtey hain aur Moula Ali (a.s.) ke alava bhi masumeen (a.s.) ko aur shohda-e-karbala ko fateh kehtey hain. Han agar yeh hadees-e-qudsi is tarha hoti "lam fatey illa ali lam saif illa zulfeqaar" to aap Moula ali (a.s.) se hat kar kisi ko bhi na fateh keh saktey they aur na hi kisi bhi talvaar ko talvaar keh saktey they zulfeqaar se hatkar. Ab agar yeh baath wazeh ho chuki hai to bara-e-meherbani in 2 kamlaath ka tarjuma likhkar meri madad kijiye:
"la ilaha ilallah" = ?
(mazallah) "lam ilaha ilallah" = ?
Aap ny bilkul sahi likha (la) aor (lam) k bary mein
beyshak la nafi e tamaam nahi
aor lam aysa nahi hy jiss mein koi gunjaish nahi
aor Allah ny la ka lafz kalmy men sahi aor haq likha hy
mein yahan likhna chahat hon keh Allah ny kaha La Elaha Illalah
iss ki meaning hain koi Allah nahi sawaye eik Allah k
aor Allah ny jab Insan ny gawahi li tu uss mein ju uss waqat yan uss dour mein loogon ny apny Khuda banaye howay thy Allah ny unki Nafi kerwaee
keh yeah manu keh ju logon ny apny Khuda many howay hain jesa keh shiddad namrood firoun , aor aysa hi dosari komon mein Allah ny unsab ki nafi kerwaee.
Ager mere jawab mein koi kami reh gye ho tu please tell me
Ali Ali Haq Ali Ali Muhtaj e Dua.
Aap ny bilkul sahi likha (la) aor (lam) k bary mein
beyshak la nafi e tamaam nahi
aor lam aysa nahi hy jiss mein koi gunjaish nahi
aor Allah ny la ka lafz kalmy men sahi aor haq likha hy
mein yahan likhna chahat hon keh Allah ny kaha La Elaha Illalah
iss ki meaning hain koi Allah nahi sawaye eik Allah k
aor Allah ny jab Insan ny gawahi li tu uss mein ju uss waqat yan uss dour mein loogon ny apny Khuda banaye howay thy Allah ny unki Nafi kerwaee
keh yeah manu keh ju logon ny apny Khuda many howay hain jesa keh shiddad namrood firoun , aor aysa hi dosari komon mein Allah ny unsab ki nafi kerwaee.
Ager mere jawab mein koi kami reh gye ho tu please tell me
Ali Ali Haq Ali Ali Muhtaj e Dua.
The following users say Thank You to Ali_Haq for this useful post:
#7
July 22, 9:09 am
Sarkar aik hadees pesh karta hoon mumkin hai ke aap ko jawab mil jayega "kamil ki nafee kamil ka isbaat" is se zahir hai ke jiska aap isbaat kar rahey hain wo jitna kamil ho uskey muqbil mey aap jinki nafee kar rahey hain wo bhi kamil hon. masalan aap kisi 1st standard ke student ki nafee karkey aik professor ka isbaat karnegey tho yeh sahee nahi hoga. Dar haqeeqat yeh us professor jiska aap isbaat kar rahey hain uski toheen mana jayega ke aap ney compare kisko kis se kiya.
Kalmey mey isbaat "allah" ka hai aur nafee "Ilah" ki hai, manzil-e-ilah per juz Masumeen (a.s) koi nahi aa saktey. Aik aur hadees hai ke "allah ilah se mushteq hai" lafz-e-Allah, ilah se bana hai. jab aap ilah ko taqsees (qusoosiyat) dengey tho wo hoga "al-Ilah" aur usi se allah bana hai.
La ilaha ilallah = Jaisa yeh maqsoos ilah waisa koi ilah nahi
Kalmey mey isbaat "allah" ka hai aur nafee "Ilah" ki hai, manzil-e-ilah per juz Masumeen (a.s) koi nahi aa saktey. Aik aur hadees hai ke "allah ilah se mushteq hai" lafz-e-Allah, ilah se bana hai. jab aap ilah ko taqsees (qusoosiyat) dengey tho wo hoga "al-Ilah" aur usi se allah bana hai.
La ilaha ilallah = Jaisa yeh maqsoos ilah waisa koi ilah nahi
#8
October 9, 10:48 am
good
All times are GMT. The time now is 12:30 pm.




