Mola Imam Jaffar Saadiq (a.s) ne farmaya Khuda ne hamare wilaayat ko Quraan our tamaam aasmaani kitabon ka markaz banaya h, Quraan ki muhkam aayat us markaz k Ird girid chakar lagate hain. (tawaaf karten hain). Ref ;(Al_Qatra, gilid 1,p,16)
Mashallah wa Jazakallah,
Bahoth kushi huwi ke aik aur banda jo Wilayeth-e-masumeen (a.s.) ka maanney wala hai is site per aya, mein tah-e-dil se aap ko kushamadeed kehta hoon, aap ke mouzu per mein yeh kehna chahunga ke wilayeth eik aisa masla hai ke koi bhi ba-eik waqt mein eik se zyada ki wilayeth mein nahi reh saktey agar koi "aliyan waliullah" kehraha hai aur wilayeth-e-ali ki gavahi de raha hai aur phir apney aap ko wilayeth-e-faqi mein bhi maanta hai to wo apni nafs ko dhoka de raha hai mein apney nazariye ke zail mein Imam (a.s) ki yeh hadees ko daleel banata hoon: Furu-e-kafi Jild-8 safa No.276 (arabic urdu translation) Khuda wanda-e-alam ne Mohammed (saws) ko nabi barhaq bana kar bheja takey wo logon ko bando ki ibadath se nikal kar khuda ki ibadath karain, bando ke ahed-o-paiman se nikalkar khuda ke ahad-o-paiman se jod dein, bandon ki itaat chudvakar khuda ki itaath mein lagadein, bandon ki wilayeth se kharij karvakar khuda ki wilayeth mein dakhil karvadein.




