Basilsila E Shahadat e Bibi Fatima(s.a)
Salam
Ya Ghareeb Ul Ghuraba Ya Zahra(a.s)
Lo Musalmano Khamosh Ho Gaye Zahra
Lo musalmano khamosh ho gayi Zahra.
Zakhm pehlo main liye aaj soou gayi Zahra.
1)Jiskay ronay ki sadao say tarap jatay tay
Sun kay fariyad Ali Pak chalay atay tay
Mout kay gehray andharon main kho gayi Zahra.
2)Logh Yasrab kay baray chain say abh souein gay
Meri Makhdoma kay masoom sabhi rooein gay
Is qadar baba kay sadmon main roo gayi Zahra.
3)Ab to ahoon ki na awaaz-e-bukan aye gi
Zakhm pehlo ka Payambar ko woh dikhlaye gi
Ashk aankhon main liye lo gayi Zahra.
4)Sar-e-darbar gawahon ko bhi jhutlaya hay
Badh baba kay musalmano nay tarpaya hay
Ghum zada baar sar-e-darbar ho gayi Zahra.
5)Chup na paeya ga zamanay say kabhi ta mehshaar
Bharay darbar-e-sitamgar mein khutba day kaar
Dagh hizyan ki tuhmat ka dho gayi Zahra.
Pursa Daar
Tamam Bibi(s.a) k Azaadar.
FEN ALi waris.