hum madh-e-ali(a.s) mein
hum madh-e-ali(a.s) mein daar pey bhi lafzoon ko rawani daytay hain
katti hai zuban kut jaii mager paigham zubani daytay hain
shahid hai ada-e-messum ki hum hain woh ali kay deewanay
jis pair pey phansi lagti hai us pair ko pani daytay hain
paishani-e-hur pey ye keh kay romaal ko bandha Sarwar(a.s) nay
jannat bhi fida ho jaigi hum aisii nishani daytay hain
qurban howay jub ran mein habib paigham deya dunya ko ajeeb
hum apnii zaeefi kay badlay mazhab ko jawani daytay hain
Abbas(a.s) ki turbat hi kay qareeb pani nay theher kay batlaya
mein behta hoon tub Abbas(a.s) mujhay izn-e-rawani daytay hain
qatil ko pilaya Haider(a.s) nay lashker ko pilaya Sarwer(a.s) nay
ye aisay gharanay walay hain dushman ko bhi pani daytay hain
maula nay kaha islam tujhay hansnay bhi jawan rehnay kay liye
Asgher(a.s) ka tabassum daytay hain Akber(a.s) ki jawani daytay hain
talib-e-dua
maulana syed raza haider rizvi
& Syed Mohd Arif Zaidi
LOG ZIKR E ALI SE DARTE HAIN
ILIM KI ROSHNI SE DARTE HAIN
AARZOO HAI NISHAAN E HAIDER KI
NARA HAIDREE SE DARTE HAIN
DO BAAR NAMAZ SHAHEED HUI
IK MASJID MEI IK MAQTAL MEI
QUR´AN LAHOO MEI TUR DEKHA
IK KOOFAY MEI IK KURBAL MEI
Wafa ka Zikar karay Zikr-e-Bawafa na karay
Kisii may itni hoo Mohsin kushi khuda na karay
Hum us faqeer ko kharaat bhe nahe detay
jo Panjatan(a.s) k waseelay say ilteja na karay
Koi jo mangay Sakena(a.s) ka wasta daker
Yeh kaisay hoga k Abbas(a.s) aur atta na karay
Ibadatoo per wo khud apni fatiha purhlay
Jo Shah-e-Deen(a.s) ke kabhee majlis-e-aza na karay
Wo admi he nahee jo Janamaz-e-matam per
Namaz-e-Ishq-e-Shah-e-Kerbala adda na karay
Mohsin Lehad mai kyun na farishtay perhain durood???
Khaak e shifa jabin per aur Labon per ALI (as)ka naam!!!
Yeh muhabbat ka dakhal kiya, yeh bandagi keysi???
Agar Hussain(A.S.) nah hotey to zindagi keysi???
Matam na band ho gaa fatway laganay waloo
Zaaya na jayegi mehnat namaz ki,
Dono jahaan ki khair hai daulat namaz ki,
Dil me basalo dosto hasrat namaz ki,
Sajde me jaakar lootlo rehmat namaz ki…
RASOOLALLAH( S.A.W) ne farmaya,
Jab apne liye dua karo to dusron ko bhi yaad kiya karo,
Kya pata uske naseeb ki khushi tumhari dua ke intezar me ho
These r helpful for our life
1. Sura Yasin --- Relief from Azab in the Grave.
2. Sura Ar Rahman --- It'll make us Rich in Dunia.
3. Sura Al Waqiya --- It'll release u from Hunger.
4. Sura al mulk --- Brings light in ur Grave.
5. Sura Al Jasiya --- It'll bring peace in ur Life
Al Hadees
Musalmaan par Musalmaan ke Panch Haq hai,
Salaam ka jawab dena,
Mareez ki Eeyadat karna,
Janaze ke Hamrah jana,
Dawat Khabul karna
Cheenk ka Jawab dena
Best :
Leader -------- Allah
Guide -------- Quran
Lyrics -------- Azaan
Loyalty -------- Imaan
Request -------- Dua
Protection -------- Fitra
Oath -------- Kalma
Exercise -------- Namaz
Self Control -------- Roza
Charity
Assalaam waley kum
Aap jante hai ki jindgi behad muktsar hai our hum roj mout ke kareeb aate ja rahe hai Allah ne hame jis kaam ke liye bheja hai wo kaam kahi bhi poora hota nazar nahi aa rahaa hai log duniya ki baaton me aakar apne asli maqsad bhoolte jaa rahe log namaaz se door hote ja rahe hai dini kamo se door hote ja rahe aise waqt main hame jarurat hai ki hum logo ko Islaam ke kareeb laye our unko nabi ki sunnato ke bare main bataye namaaz ki pawndi khud bhi kare our logo se bhi kahe pataa nahi humne jane kitne janker ya anjane main gunah kiye hai kiya pata allah ko koi hamara kaam pasand aa jaye our Allah hamare gunaaah maaf kar de is liye namaaz ki pawandi khud bhi kare our dusro se bhi karwaye PROPHET(MPBUH)ne farmaya " meri ummat se kaho ke quran e pak ki tilawat karo, namaz parha karo. aur mera yeh peghaam har jaga pohncha do"
khuda hafiz.