arif_zaidi
Posted May 12, 2008 by arif_zaidi
Allah terey ghar mein naya darr arey arey
yeh aehtemam-e-aamad-e-haider arey arey

aey haajioon hai kaaba zacha khana-e-ali a.s
phir bhi laga raha hai tu chakkar arey arey

bughz-e-ali ki aankhoon pe aenak laga k sheikh
kawwey ko keh rhaa hai kabootar arey arey

firdoos k farishtey ko tailor banadia
zehra k ladloon ka yeh power arey arey

bazm-e-nabi mein aisey bhi kuch loog they janab
kehtey they khud hi aag laga kar arey arey

betaab terey parhney ka andaz dekh kar
har aik sukhunwar yeh keh utha arey arey
Tags: 786
Comments
No Comments. Login or Signup to be first.