11 Ziqa'ad
Wiladat of IMAM ALI RAZA(AS).
***********************************
Iran ki Sarhad pe he ABBAS ka Charcha
SHABBIR ka wo Bakht Rasa Jaag raha hai
Is Waaste Sukh Chain se sote hein Musafir
Mashhad me mera MOLA RAZA Jaag raha hai
***********************************
Zahoor'e IMAM-e-ZAMIN,
IMAM ALI RAZA(A.S) tamam momin o mominaat k bohut Mubarak ho.
Khuda Hum sub ko Panjetan-e-Pak aur Hamshera-e-IMAM RAZA(A.S) BIBI(S.A) k Sadqe Mashhad me IMAM ALI RAZA(A.S) k Roze per Hazri aur Qum me In ki Hamshera BIBI(S.A) k Roze per Hazri naseeb farmaye. {ameen}
Iltimas e Dua.
S. M.Arif Zaidi
Assalaam waley kum
JASHAN-E-Azaadi Mubarak
Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Yeh chaman tumhara hay
Tum ho naghman-khwan is kay
Is chaman kay pholon par
Rang-o-aab tum say hay
Is zamin ka har zarra
Aaftab tum say hay
Yeh fizaa tumhari hay
Behr-o-barr tumahray hain
Kehkashan kay yeh jalway
Rahguzar tumharay hain
Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Is zameen ki mitti main
Khoon hay shaheedon ka
Arz-e-pak markaz hay
Qaum ki ummedon ka
Nazm-o-zabt ko apna
Mir-e-karwan jaano
Waqt kay andheron main
Apna aap pehchano
Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Yeh zameen muqadas hai
Maan kay pyaar ki surat
Is chaman main tum sab ho
Barg-o-baar ki surat
Dekhna gawana mat
Daulat-e-yakeen logo
Yeh watan amanat hai
Aur tum ameen logo
Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Meer-e-karwan hum thay
Rooh-e-karwan tum ho
Hum to sirf unwan thay
Asal dastaan tum ho
Nafraton kay darwazay
Tum band hi rakhna
Is watan kay parcham ko
Sar baland hi rakhna
4th SHABAN-UL-MUAZZAM
4th Shaban-ul-Muazzam: Birthday of GHAZI HAZRAT ABBAS ALAMDAR(A.S)
Almdar-e-Lashkar-e-HUSSAINI
SHEHENSHAH-E-WAFA
MUHAFIZ-E-CHADAR-E-ZAINAB(S.A)
SAQQA-E-SAKINA(S.A)
DUA-E-ZEHRA(S.A)
Naam jab bhi lab pe hum lay atay hain ABBAS a.s ka
Hum pe ho jata hay bay paya karam ABBAS ka
zalimon tum is jahan mian sab say takrana magar
Un say darna jo uthatay hain Alam ABBAS a.s ka.
Fatima (S.A) k Bachoo Say Mohabat Kar Loo,
Yeh Wafadar Ko Abbass (A.S) Bana Deay Hain.
Abbass (A.S) Ki Nigha May Kya Fauj-e-Sham Hay,
Abbass (A.S) Murtaza (A.S) Ki Tamana Ka Naam Hay,
Bara Imam Mazhab-e-Islam May Howaye,
Yeh Mazhab-e-Wafa Ka Akela Imam Hay.
ABBAS ho-baho hain jo tasweer-e-murtuza
Dhoka kahin nusairi ko tasweer se na ho
Nahi imaam magar yeh sharaf bhi kam to nahi
Har ik imaam tumhara hai qadar dan ABBAS
HUSSAIN a-s
H:Hasraton ki akhri manzil
U:Ummidon ki panah gah
S:Sajda-e-Ishq ki intaha
S:Sabar ki intaha
A:Akhirat main bakhshish ka wahid rasta
I:Insaniat ki Darsgah
N:Nawasa-e-Rasool
Logo phir poochtay ho mera HUSSAIN Kia hey?