Lillah bs kro na stao Hussain 'a.s' ko,
Tark-e-namaz se na rulao Hussain 'a.s' ko
Aashiq ho Karballa k namazon se door ho,
Aao parho namaz manao Hussain 'a.s' ko.
Zanjeer e Darr Ye Kehti Thi Mola Na Jaiye ...Parinday Ki Thi Sada K Aaqa Na Jaiye Falak Pe Ye Thi Goonj K Mola Na Jaiye Bachay Pukartay Thay K Baba Na Jaiye Rang aasman Ka Surkh Ye Kesa Raaz Hai? Duniya Mai Aaj Ali Ki Aakhri Namaz Hai....
~~~~~
Masjid Mai Sher e Haq Ny Uthaya Jo Apna Sar Ek Baar Kanpnay Lagay Masjid K Baam o Darr Ubla Lahoo K Ho Gaye Mehraab Khun Se Tar Ek Zalzala Sa Bas Hua Naazil Zameen Par Nagaah Jibraeel Pukaray Ghazab Hua Masjid Mai Qatal Aaj Ameer e Arab Hua